Wednesday, September 14, 2011

Woh Ek Kagaz; Jisey Talaq Kehtein Hain !


Woh Ek Kagaz; Jisey Talaq Kehtein Hain !


Din Bhar Ki Daud-Dhoop,
Hairan, Veeran Duniya Ke Chail-Chalavon Ke Baad;
Ab Bhi Jab,
Ghar Laut-Tha Hun,
Uss Ghar Mein,
Jisey Hum Kabhi Apna Ghar Kehtey They;
Toh,
Bikhra Pada Bistar,
Aur Bistar Par Pada Takiya-Gilaaf Pass Bulate Hain,
Thakaan Ka Takaja Dekar Badan Ko Sula Bhi Deta Hun,

Par;

Raton Ko Jab Haath Badha, Bagal Mein Tumhey Tatolta Hun,
Apne Hathon Se Dhoondney Ki Koshish Karta Hun,
Khaali Laute Haath,
Yaad Dilatey Hain Ki Ab Tum Gum Ho Gayee Ho, chali gayee ho;
Ek Kagaz Mein Jisey Talaq Kehtey Hain !

Gum Ho Gayee Saath Hi,
Kitchen Ke Bartanon Ki Awaaz Saath Lekar,
Meri Khushi, Chanchalta, Vachalpana Lekar,
Ek Kagaz Mein, Jisey Court Ke Judge Saheb Ne Diya Tha;
Yeh Kehkar, Ki Ab Tum Dono mein Kuch Bhi Naa Raha,
Naa Woh Chupa- Chupai Ka Milna,
Chori Sey Ek Doosre Ki Khusbo Lena,
Ek Doosrey Se Jhagadna,
Raat Ke Woh Budget Cinema,
Teracce Par Meri Tel-Maalish;
Daftar Phone Kar Farmaishaiyen Karna,

Sab Gaya Talak Ke Ek Kagaz Mein; Gum Ho Gaya !

Chalo, Phir Milein,
Chalo, Uss Judge Ke Ghar Chalein,
Poochein Ki Ek Kagaz Sey Hi Sab Kaise Khatam Ho Sakta Hai;
Agar Ho Sakta Hai Toh Aise Kagzon Ko Hi Khatm Kar Dijiye,
Aur Ek Naya Kagaz Likh Dijiye!!
Ki Aagey Ladey Toh Court Mein Nahin,
Aapas Mein Baith Kar Samjhengey!!